
apni aahat sune zamaane ho gaye
apni muskuraahat sune zamaane ho gaye
shor bhari is duniya me
apni khaamoshi sune zamaane ho gaye
kisi ko is dil me basaa kar
usey zaahir kiye zamaane ho gaye
khulke har pal ko jiye yahaa zamaane ho gaye
kisi se dil ki baat kahe zamaane ho gaye
udaasi ko chhipaaye aur bewajah muskuraaye zamaane ho gaye
un baarish ki boondo ko nihaare
zamaane ho gaye
zindagi guzar rahi badi raftaar se
is zindagi ko jiye jamaane ho gaye
taareekh badlati din badalta
khud ko badle zamaane ho gaye
zimmedaariyo ki parwaah me
apni khwaahish ko jiye zamaane ho gaye
kisi ko ek tarfaa chaahe aur usey bataaye zamaane ho gaye
bade hone ke shouk me
bachpan ki zidd ko zamaane ho gaye
apni aahat sune zamaane ho gaye
apni muskuraahat sune zamaane ho gaye.








