
zindagi ka kuchh yun hai janaab
chalte rahiye
girke sambhalte rahiye
bas chalte rahiye
kabhi kisi mod par
sukoon ki gunjaayish jaroor hogi
ummeed lagaate rahiye
rone ke baad mukuraate rahiye
rukna gawaara hi nahi yahaan
tooti khwaahisho ko sanjote rahiye
bas ummeed lagaate rahiye
mauke kai aayenge
jab aapko khud se gile honge
shiqwe shiqaayate hongi
apni bhool ki ik kasak hogi
na liye gaye phaislo par aankhe nam hongi
aur kuch liye gaye phaislo par
khud par zarzarahat hogi
shayad isi ka naam zindagi hai
har us chiz se seekhna
jo aapko dard de
har us chiz pe muskuraana
jo aapki chehre ko chamka de
chalte rahiye
bina ruke bina thame
bas ummeed lagaate rahiye
agar kal nahi tha aapka
aane waala pal hoga jaroor
us waqt ki khwaahish me
bas khud ko sambhaalte rahiye
roke muskuraate rahiye
bas chalte rahiye
aapko chalna hoga
haarna gawaara nahi
is zindagi se, apne har us sapney se
jo kabhi na kabhi dekhe the aapne
apne liye
apne aane waale kal ke liye
jab himmat lage tootne
khud ko sambhaalte rahiye
koi naa hoga aapka sahaara
log aayenge log jaayenge
khud ke saath bas aap khud honge
bas chalte rahiye
ummeed sajaate rahiye.