“Maa Baap” ✨

saari befiqariyan
zimmedaariyon me tabdeel ho jaaya karti hain
maa baap kaa saaya agar sar par naa ho.



khud kam me zindagi bitaa dene waale wo do
apne bachho ko
duniya ki khushi dene ki khwaahish rakhaa karte hain



duniya mein wo pahley aur aakhiri insaan
jo duwa kiya karte hain rab se
mera bachha mujhse bhi jyada kaamyaab ho
khud se pahley
Bachho ki khushiyan maangne waale
sab kuch akele bardaasht karke bachho ke saamne muskuraa dene waale
aise log bhi bhalaa kahin milte hain kyaa



guroor ki zindagi hoti hai sahab
agar maa baap
dono kaa saaya sar par ho



duniya bure se buraa sulook karti hai
agar unhi dono kaa saath na ho
is zindagi mein



haal sab puchhte hain
saath koi nahi deta
sawaal sab karte
jawaab koi nahi deta
pyaar sab karte
Lekin pyaar koi nahi karta



ghar aake sabse pahley puchhne wali
“khaana khaaya” “bhukh toh nahi lagi”?

ek awaaz sunke pahchaan jaane waali
“kyu udaas ho” “kuchh hua kya”?
wo maa kisi paise se mil sakti hai bhala kya



paas naa hone par
“paise toh hain na” “na ho Toh bataana”
kahne waale
wo baap dobaara milte hain bhala kya



Apne zindagi ki udaasiyo mein
apne sawaalo ka jawaab dhundhte dhundhte
hum unko hi peechey chhor diya karte hain
itne khudgarz hum kab se ho jaaya karte hain



zindagi ki bhaga daud mein
hum ye toh bhool hi jaaya karte hain
unki bhi saanse waqt ke saath
kam hoti jaa rahi.



kal kisne dekha?
khuda kisne dekha?
jannat kisne dekhi?
Jab tak Maa Baap hain
Jitna waqt bitaa sakte saath
utna kam hai.
Jitna pyaar kar sakte
utna kam hai
jee lo Ye pal Unke saath

phir zindagi ke kisi mod par
Wo miley na miley.
Bas shiqwe rah jaane hain.
Shikaayate rah jaani hain………!!!!

Published by Nidhi • निधि

🍀• शिव सदा सहायते • 🍀• A girl thinking about life at the same time living the life ✨

6 thoughts on ““Maa Baap” ✨

Leave a comment

Design a site like this with WordPress.com
Get started